dil ke zakhmon ka kuchh kya na karo chaak ho jae to siya na karo khwab hote hain dekhne ke liye un mein ja ke sanam jiya na karo jise tum chhod aae ho wo shahr use ab yaad tum kiya na karo rah mein chhod kar chala jo gaya nam us shakhs ka liya na karo bade aadab hain mushaere ke kabhi waqt-e-sukhan piya na karo itna kam-zarf wo nahin 'maham' use tum mashware diya na karo