chune hain barson dayar-e-fikr-o-nazar se shishe

chune hain barson dayar-e-fikr-o-nazar se shishe
lipat gae hain khayal ke baam-o-dar se shishe

wo be-khabar hai ki us ki dahliz tap rahi hai
pighal rahe hain tamazat-e-sang-e-dar se shishe

kisi ki aankhon mein ab bhi ehsas-e-tishnagi hai
chhalak rahe hain kisi ke aks-e-nazar se shishe

suna hai ab us ke pas patthar nahin bache hain
nikal hi aaenge kuchh na kuchh mere ghar se shishe

ghazal ka kundan sa rup fan ki asas chahe
chatakh rahe hain jarahat-e-be-hunar se shishe

lahu-lahu-ungliyon mein larza nahin hai 'naqwi'
laraz rahe hain figar hathon ke dar se shishe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close