barson main kahan qaid raha puchh ke dekhun

barson main kahan qaid raha puchh ke dekhun
kis ne mujhe aazad kiya puchh ke dekhun

dohrai gai kab mere pichhe wo kahani
tha kaun jo unwan bana puchh ke dekhun

samjha tha ki tanha hun magar sath tha koi
hamrah mere kaun raha puchh ke dekhun

aisa jo tere nam se pahchan le mujh ko
kya shahr mein koi na raha puchh ke dekhun

kyon dete hain suli mere ham-zad ko ye log
kya us ne bhi sach bol diya puchh ke dekhun

angare utha lae the jo phul samajh kar
un logon ka kya haal hua puchh ke dekhun

gumrah kiya hai mujhe us shakhs ne har bar
ab khud se zara apna pata puchh ke dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close