chup hai wo mohr-ba-lab main bhi rahun achchha hai halka halka ye mohabbat ka fusun achchha hai mausam-e-gul na sahi shaghl-e-junun achchha hai hamdamo! tez rahe gardish-e-khun, achchha hai tum bhi karte rahe talqin sakun ki khatir main bhi aawara o sar-gashta rahun achchha hai wo bhi kiya khun ki ho jabr ki buniyaad mein jazb jo yunhi muft mein bah jae wo khun achchha hai baat wo aai hai lab par ki kahe bin na rahun aql jame se ho bahar to junun achchha hai gar bhatakne hi ki thani hai rafiqon ne to khair munh se kuchh kah na sakun sath to dun achchha hai dil ka ahwal ki kuchh zikr-e-zamana chhedun baat yun chhedna achchha hai ki yun achchha hai main ne kya kya na kaha sher mein un se 'haqqi' wo faqat sun ke ye kahte rahe hun achchha hai