ek mahak si dam-e-tahrir kahan se aai nam mein tere ye tasir kahan se aai pahlu-e-saz se ek mauj-e-hawa guzri thi ye chhanakti hui zanjir kahan se aai dam hamara to raha halqa-e-lab hi mein asir bu-e-gul ye teri taqdir kahan se aai ahl-e-himmat ke mitane se to farigh ho le dahr ko fursat-e-tamir kahan se aai go tarasta hai abhi tak teri tahrir ko dil phir bhi jaane teri taswir kahan se aai yunhi ho jata hai qismat se koi gham bedar ishq ke hath mein tadbir kahan se aai kis taraf jate hain yaro ye bigadte hue naqsh ye sanwarti hui taswir kahan se aai lahn-e-bulbul ka chala kaun se gul par afsun sirf ek tarz hai tasir kahan se aai pad gaya soz-e-sukhan hath hamare kyunkar khak hone ko ye iksir kahan se aai