chup rahun kaise main barbaad-e-jahan hone tak raaz ko raaz hi rakhna hai baiyyan hone tak kya khabar thi teri mahfil mein ye haalat hogi tu utha dega mujhe dard ayan hone tak khush-nasibi ye meri hai ki wo ghar aae hain shama tu sath nibha waqt-e-azan hone tak koi khamosh sada dur bulati hai mujhe kash main zinda rahun dard bayan hone tak ek shoala hai mohabbat use shabnam na kaho zinda rahti hai ye bad-bakht dhuan hone tak tum bhi 'ghazi' kabhi fursat mein ye socho to sahi kyun tadapte ho har ek shab ke jawan hone tak