dard-o-gham ranj-o-alam aah-o-fughan sarguzasht-e-ishq ki hain surkhiyan dil hai mera mail-e-fariyaad aaj dekh kar un ke taghaful ka saman ek zara ruk jaiye sun lijiye is dil-e-ranjur ki bhi dastan aap ne to ek nazar dekha faqat jal gaya tab-o-tawan ka aashiyan ai dil-e-gham-ghin na ro is daur mein kaun sunta hai kisi ki dastan aatish-e-ulfat to kab ki jal bujhi raat din sine se uthta hai dhuan nazm-e-mai-khana badal kar rakh den hum aao ai zinda-dilan 'tishna'-laban