chup the bargad khushk mausam ka gila karte na the chal rahi thin aandhiyan patte sada karte na the hum rasida the ki dekhen dusron ko shoala-pa the safar mein aur safar ki ibtida karte na the band tha pani saf-ara the ghanim-e-ru-siyah hum ada is par bhi rasm-e-karbala karte na the mutmain the ahl-e-maqtal nim-jaan kar ke mujhe kaisi hushyari thi sar tan se juda karte na the hum ko kis shab zinda rahne ki hawas hoti na thi din mein hum kab khud-kushi ka faisla karte na the kaise dur-andesh munsif the ki insafan mujhe mante the be-khata lekin riha karte na the