chupke-chupke aankh jo sharma rahi hai phir kahani ishq ki dohra rahi hai dhimi dhimi tishnagi ki lazzaton se lamha lamha rut badalti ja rahi hai wo thakan jo manzilon tak aa gai thi ab labon par muskuraati ja rahi hai manzaron se kis qadar mayusiyan hain dur tak ek khamushi lahra rahi hai wo nazar jo sochti hi rah gai thi ab udasi ka chalan apna rahi hai phir kisi harf-e-tahi ke zaiqe ki aarzu honton pe sajti ja rahi hai sochti si tishnagi harf-o-sada ki ek nuqte par simatti ja rahi hai kuchh ujalon kuchh andheron mein bati si zindagi sad-rang hoti ja rahi hai phir kisi mafhum-e-awwal ki khabar si ek madhur muskan khilti ja rahi hai kuchh jawan si qurbaton ki sansanahat shabnami rishton mein dhalti ja rahi hai