ek machalti hui aarzu ko liye

ek machalti hui aarzu ko liye
dil mein ek aas ka shokh dipak jale

tum se milne ki ummid mein chal diye
jab bhi aage badhe khud se hi hum mile

wo kisi khwab ki shokh tabir the
qurb ke hausle gungunane lage

khud-farebi ke nange ujale liye
khwab ke jangalon mein rahe ghumte

ajnabi soch ke ajnabi zaiqe
dard ban kar dilon mein utarte rahe

teri chahat machalti rahi dam-ba-dam
ek rangin ghazal ka tarannum liye

raat ke shokh shanon se aanchal gira
tirgi thi nagan aasman ke tale

ho gai har taraf shabnami raushni
ashk palkon pe aakar machalne lage

raat bhar tishnagi hi machalti rahi
chand bikhre hue khwab yakja kiye

ajnabi dastaken ajnabi dhadkanen
zindagi ab mujhe kuchh khafa si lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close