chupke chupke ye kaam karta ja kaam sab ka tamam karta ja hum ko badnam kar zamane mein kuchh zamane mein nam karta ja yaad ki shah-rah-e-simin par ai saman-bar khiram karta ja ai ki tera mizaj shabnam sa barg-e-dil par qayam karta ja ashk aankhon mein le ke rukhsat ho mera marna haram karta ja bastiyon ka ujadna basna kya be-jhijak qatl-e-am karta ja dastan-go teri kahani mein ramz kiya hai kalam karta ja chaar chhai sher kaam ke kah le kuchh to 'mazhar--imam' karta ja