duniya mein koi ranj se badh kar khushi nahin wo bhi hamein nasib kabhi hai kabhi nahin dard-e-jigar ki tum pe musibat padi nahin tum to kahoge ishq ki manzil kadi nahin dushman ki rah rok ke baitha hun aaj main duniya ka rasta hai tumhaari gali nahin dushman ki maut ka tumhein kyunkar na ho malal ek ba-wafa jahan mein wahi tha wahi nahin shokhi kisi ki khul gai aakhir kalim par karne ki thi jo baat wahi un se ki nahin qatron ke lab pe shor-e-anal-bahr hai rawan taqlid kya ye hazrat-e-mansur ki nahin ifa-e-ahd hai ki qayamat ka shor hai tum khul ke kah na do ki zaban hum ne di nahin laila ne khud qarar diya hai wafa ko jurm majnun ne wo kitab-e-mohabbat padhi nahin katne ko kat rahi hai barabar shab-e-firaq jine ko ji raha hun magar zindagi nahin tum ko fareb-e-ghair se aagah kar diya warna mujhe kisi se koi dushmani nahin rota hai be-sabaati-e-gulzar-e-dahr par ghunche ke lab pe ghaur se dekho hansi nahin aankhon ne phut phut ke sab haal kah diya ain-e-visal mein bhi yahan khamushi nahin pir-e-mughan ke faiz se raushan hai mai-kada saghar ka jo murid nahin muttaqi nahin aaram se qafas mein guzarunga zindagi achchha hua ki taqat-e-parwaz hi nahin aati hai khak-e-tur se ab tak yahi khuda dil ki lagi ka zikr koi dil-lagi nahin aashiq ke dam se husn ki duniya ko hai farogh bulbul nahin to raunaq-e-gulzar hi nahin dilbar ke intikhab mein mujh se khata hui mera qusur hai ye khata aap ki nahin wahdat ka wo surur tha saqi ke jam mein pine ko hum ne pi hai magar be-khudi nahin puchha tha bewafa to na paya raqib ko main ne bhi kis maze se kaha hai ki ji nahin khane ko zakhm milte hain pine ko ashk hain rozi jahan hain kya meri taqdir ki nahin aashiq ke zakhm dekh ke isa ne kah diya ye to nazar ki chot hai talwar ki nahin tishna-labon ki jaan hai shamshir-e-ab-dar khwahish unhen to kausar-o-tasnim ki nahin jumbish hui hai dashna-e-ghamza ko be-sabab allah khair aalam-e-asbab ki nahin jis samt aankh uthti hai kushton ka dher hai maqtal hai aashiqon ka tumhaari gali nahin jannat se kuchh gharaz hai na duniya se wasta mashuq apna hur nahin hai pari nahin khana-kharab-e-ishq ki haalat na puchhiye koi bhi gham-gusar ba-juz bekasi nahin inkar ab to is lab-e-nazuk se ho chuka pahli si shakl ghuncha-e-ummid ki nahin tu khana-zad-e-zulf ko aazad kyun kare main to tera ghulam hun main aadmi nahin huron ko bhej kar meri haalat to puchhiye kunj-e-mazar bais-e-dil-bastagi nahin ek mah-ru ki yaad ne chamka diya hai dil sina hai dagh dagh magar tirgi nahin tasir aah ki kabhi tum ko dikhaenge hum hain to gumbad-e-falak-e-chambari nahin barish hi ko ulat ke bana do na tum sharab tum ko zara mazaq-e-adab-parwari nahin rota hai koi dil ko koi apna jaan kar daka hai lut-mar hai ye dilbari nahin aankhon se qatl karte ho lab se jalate ho phir ye kamal kya hai jo afsun-gari nahin talib ki aankh karti hai khira shua-e-husn parda hai us ka nam ye be-pardagi nahin zamzam haram se aata hai 'rasikh' ke waste wo khana-e-khuda hai wahan kuchh kami nahin 'rasikh' kise sunaen hum apna bayan-e-gham 'ghaalib' nahin 'anis' nahin 'anwari' nahin