chupke se dimagh mein dar aae yaadon ke safir bin bulae kab tak dukh ka dhuan dhuan sa kab tak gham ke muhib sae bahrupiyo rup ki duhai taskin-e-nazar ko koi aae baithe hain qadam qadam pe naqqad taid ki mishalen jalae daman-e-khirad ne ye hawa di jitne the charagh sab bujhae aankhon se nikal gaya andhera tare se palak pe jagmagae gulshan gulshan khangal dala khushbu khushbu pukar aae is koh-e-khirad ko main karun kya diwane se kab uthaya jae hun bu-e-gul khizan-gazida koi jise dhunde bhi na pae pat-jhad ko rahnuma bana kar kaliyon ne ajib gul khilae darbar-e-sukhan-waran mein tanha baitha hai raza bhi sar jhukae