mar kar bhi chhutti nahin akasr lagi hui hoti bahut bari hai muqarrar lagi hui is shola-ru ko lag hai har dil se kya bujhe hai sab gharon mein aag barabar lagi hui dil ki khabar jo aati hai har dam zaban par rahti hai dam ki dak barabar lagi hui soz-e-darun ne phunk diya jism o jaan o dil ek aag hai kaleja ke andar lagi hui bhule hain zauq-e-mai se 'mazaq' apni jaan to kya dil se hai yaad-e-saqi-e-kausar lagi hui