chura na aankh ko saqi ki baada-nosh hun main abhi to faisla hota hai ek saghar par mariz-e-ishq ki haalat kabhi na sanbhlegi mujhe to chhod de ai chaara-gar muqaddar par hamare nale bhi thak thak ke ab to baith rahe gae wo din ki uthate the aasman sar par hamare mai-kada ko chhod kar na ja zahid milega qatra na kam-bakht hauz-e-kausar par gila na hum ne kiya 'shauq' us sitamgar se balaen sab wo uthain jo aa padin sar par