kaisi kaisi aayaten mastur hain nuqte ke bich kya ghane jangal chhupe baithe hain ek dane ke bich rafta rafta rakhna rakhna ho gai mitti ki gend ab khalijon ke siwa kya rah gaya naqshe ke bich main to bahar ke manazir se abhi farigh nahin kya khabar hai kaun se asrar hain parde ke bich ai dil-e-nadan kisi ka ruthna mat yaad kar aan tapkega koi aansu bhi is jhagde ke bich sare akhbaron mein dekhun haal apne burj ka ab mulaqat us se hogi kaun se hafte ke bich main ne 'anwar' is liye bandhi kalai par ghadi waqt puchhenge kai mazdur bhi raste ke bich