chura raha hai KHazane na aaj kal se mere

chura raha hai khazane na aaj kal se mere
ye duzd-e-umr taaqub mein hai azal se mere

ye kaj-ada mujhe achchhe dinon se jaanti hai
bade marasim-e-dairina hain ghazal se mere

dikha dikha ke nae manzaron ka khali-pan
darakht hath milate hain dast-e-shal se mere

wo aankh so gai wo chandni bhi ruth gai
mukalme na mukammal hue kanwal se mere

chhabeli le gai yaron ko kyon pas-e-mahtab
gile ghazab ke hain doshiza-e-ajal se mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close