ghubar-e-waqt mein be-rang-o-bu pada hua main khada hun arsa-e-afaq mein thaka hua main teri nigah-e-nigarish-talab ko kya malum ki harf-o-saut se guzra to kya se kya hua main nujum bujhte hue kah rahe hain subh ba-khair magar wo palken aur un mein kahin jada hua main ye dekhne ko ki fitrat kahan badalti hai wo ruthne hi laga tha ki be-wafa hua main libas shairi karta hai husn-e-qamat par ye be-sabab to nahin aaina bana hua main hawa-e-subh-watan ek zara kumak ki kahin dikhai dun lab-e-ahbab par khila hua main ye dil waraq hai kisi gum-shuda sahife ka so kya padhun khat-e-tansikh se bhara hua main hisab-e-dost dil-e-dost mein raha 'talib' phir istiaron kinayon mein kharch sa hua main