churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se magar ab bijliyan lipti hui hain dil ke daman se tanawwo kuchh to ho ai bulbul-e-kam-zauq matam kya agar tamir-e-sahra ho gai takhrib gulshan se mujhe kuchh tajrabe har rang ke jholi mein rakh chalna musafir hun gharaz kya hai mujhe sahra o gulshan se mujhe har karwan se chhutna is bad-gumani mein ki shayad rahbar ko rabt-e-pinhani ho rahzan se mazaq-e-jazb-e-baatin gum hai ab tazin-e-zahir mein ye tifl-e-dasht-e-aiman ghat gaya tahzib-e-gulshan se