ye kashti-e-hayat ye tufan-e-hadsat mujh ko to kuchh khabar na rahi aar-par ki hai gardish-e-zamana mein do-rangi-e-hayat ummid ki sahar hai to shab intizar ki ye dair ye haram ye kalisa ye somnat tarif kya ho qudrat parwardigar ki hai kaun jo utha sake bar-e-gham-e-hayat hum ne bhi gar qaba-e-khirad tar tar ki allah re tasadum-e-haalat-o-hadsat ki ikhtiyar sang ne surat sharar ki zarron ki aab-o-tab se taron ne khai mat ye khubiyan hain khak tere inkisar ki ai 'ashk' zindagi mein na puchhi kisi ne baat ab khak chumte hain hamare mazar ki