chust kamar ka kya sabab tang qaba ki wajh kya hum to hain aap sar-ba-kaf hum se ada ki wajh kya khak mein jo mila ho khud us pe sitam se kya husul husn ki ye sarisht hai warna jafa ki wajh kya apni hain jaisi khaslaten mujh pe bhi hai guman wahi ye nahin gar sabab to phir tark-e-wafa ki wajh kya mashrab-e-ishq mein dila kufr hai yar se riya jab ki buton ka dhyan ho zikr-e-khuda ki wajh kya aaj kiye hazar qatl kal kiye aur bhi siwa shaghl ye jis nigah ka ho us ko haya ki wajh kya ruh-o-jasad ka sabiqa kitne dinon ka hai bhala donon ki jins do hai jab un mein wafa ki wajh kya sadma-e-dard-o-ranj-o-gham tul-e-firaq ka alam hain ye hawadisat chand un ki baqa ki wajh kya sun len jo wo zahe-nasib gar na sunen to kya gila hai ye unhin se guftugu tark-e-dua ki wajh kya malik-e-dil hain jab wahi jab hai unhin ka ikhtiyar murtakib-e-gunah kyun jurm-o-khata ki wajh kya roe hain hum zarur 'shad' tab to hai lab pe aah-e-sard meinh na baras gaya to phir thandi hawa ki wajh kya