bhul na us ko dhun hai jidhar ki chaunk musafir raat nahin hai shakl numayan hogi sahar ki chaunk musafir raat nahin hai aankhen malte sehn-e-chaman mein jhum ke utthe nind ke mate dekh saba ne aa ke khabar ki chaunk musafir raat nahin hai nile nile rang ke upar badhti hi jati hai safedi ho gai rangat zar-o-qamar ki chaunk musafir raat nahin hai zor na taqat sang na sathi panw se apne aap hai chalna tujh pe hai bhaari rah-e-safar ki chaunk musafir raat nahin hai tujh pe main qurban jaani pyare ham-nafas-o-ham-dard hamare tujh se hai ulfat main ne khabar ki chaunk musafir raat nahin hai pankh-pakheru khwab se chaunke sab ne khushi ke nare mare aai sada murghan-e-sahar ki chaunk musafir raat nahin hai kuch ki saat aa gai sar par 'shad' utha le jholi-bistar nind mein sari raat basar ki chaunk musafir raat nahin hai