chuTkiyan li hi ki uTh baiTh jo mar jae koi

chutkiyan li hi ki uth baith jo mar jae koi
ai sitamgar tere hathon se kidhar jae koi

kyun ki guzregi na guzroge jo tum yar idhar
pas ye marzi hai ki bas jaise guzar jae koi

mere marne se tera shohra hua ya qismat
ki bigad jae koi aur sanwar jae koi

ek dam ka bhi bharosa nahin manind-e-hayat
bahr-e-hasti mein habab aa ke ubhar jae koi

shama san sar na kate us ka ye imkan nahin
bazm-e-khuban mein jo ba-dida-e-tar jae koi

dil mera tum ne churaya mujhe ulti hai ye fikr
na khabar pae koi ta na biphar jae koi

aap ke ahd mein ye rasm hai dekhi hum ne
ki gunahgar koi aur ho dar jae koi

ghar se niklo ki hamein ghar ki na kuchh yaad rahe
ghar mein baithe hue kahti ho na ghar jae koi

yun to samjhe sune aati nahin 'ehsa۔n' ko samajh
kya tamasha ho ki dil le ke mukar jae koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close