dabe jo aag to dil se dhuan sa uthta hai makan ke parde se ek la-makan sa uthta hai nazar jo thahre koi dam tere sarape mein to ang ang se ek karwan sa uthta hai lahu ka cell ho ya zamzama ho jo kuchh ho hamare dil se har ek be-karan sa uthta hai ye teri bazm ki azmat ye us ki virani ki yan se jo bhi uthe ek jahan sa uthta hai hamari sham ki saat ki lazzat-e-be-nam ki jure jure se takht-e-rawan sa uthta hai na puchh tishnagi us shakhs ki jo baad-e-visal kisi ke pahlu se yun kaamran sa uthta hai karishma joshish-e-hasrat ka dekhiye har-su ki shakh shakh se ek aashiyan sa uthta hai