dagh dhul gae ab to dard mein kami si hai zindagi na jaane kyun phir bhi ajnabi si hai kal jis aabgine se mauj-e-mai chhalakti thi aaj us aabgine ki aankh mein nami si hai kaif-e-chashm-e-saqi mein kuchh kami nahin lekin jashn-e-mai-gusaran mein aaj be-dili si hai gardish-e-jahan mein bhi kuchh asar hai laghzish ka aur nabz-e-hasti bhi kuchh ruki ruki si hai saz-e-arzu chup hai ruh mein hai sannata dil mein jo bhi surat hai ab miti miti si hai