dad bhi sunta hai tu sunta hai tu fariyaad bhi waqt-e-mushkil tu hi karta hai meri imdad bhi jal mein phansna na hargiz ye tilismi bagh hai dam le kar hai yahan baitha hua sayyaad bhi aap ki jalwagari har su numayan dekh li kar diya viran jis ko phir kiya aabaad bhi aap ki bhakti na jab tak ho to kya hasil mujhe qaid-e-duniya se agar ho jaun main aazad bhi