jigar ke chaak pe raqsan ye pyar ki miTTi

jigar ke chaak pe raqsan ye pyar ki mitti
mahak rahi hai tere intizar ki mitti

shikasta hijr ke mausam mein hum ne dekhi hai
khizan ki shakl mein fasl-e-bahaar ki mitti

guzarte waqt ki manind mere hathon se
phisal na jae tere eatibar ki mitti

main us ke badle mein de dun jahan ki daulat
kahin mile jo mujhe ku-e-yar ki mitti

lagi hai bhid farishton ki khair-maqdam ko
zarur hai ye kisi din-dar ki mitti

kise khabar hai ki hijrat ki aandhiyon ke sabab
kahan ko jaegi kis ke dayar ki mitti

simat hi jaegi ek roz sun le ‘dip-shikha'
ye tere jism ki tere hisar ki mitti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close