dad-o-dahish ka aap ki KHugar nahin hun main

dad-o-dahish ka aap ki khugar nahin hun main
be-sakhta sukhan hun muqarrar nahin hun main

tarif tere husn ki aati hai ghaib se
mere qalam ke sath to yaksar nahin hun main

masrufiyat ka mujh pe yun hamla hua ki ab
khud apne aap ko bhi mayassar nahin hun main

bande tu andhi duniya mein hai kis ko dhundhta
andar se mujh ko dhund ki bahar nahin hun main

tu bhi kabhi wahan se mera haal-chaal puchh
har bar tere bap ka naukar nahin hun main

sote hain ek sath hi main aur iztirab
aaegi nind jis mein wo bistar nahin hun main

tu sar se le ke panw ta puri ghazal hai aur
tere radif ke bhi barabar nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close