tujhse karni hai baat raste mein

tujh se karni hai baat raste mein
chal guzaren ye raat raste mein

kya kaha us amir-zade ki
lut gai hai baraat raste mein

ek jugnu bhi sath kar lije
ho bhi sakti hai raat raste mein

aaj us khub-ru ne aana hai
hum lagaenge ghat raste mein

tab se tanha safar nahin karte
jab se khai hai mat raste mein

waqt kis sanahe pe le aaya
aa gaya hai furaat raste mein

dars deta raha sabaat ka jo
khud phire be-sabaat raste mein

tum ne maktub mein likha 'abid'
takhti-e-dil dawat raste mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close