dad to baad mein kamaenge pahle hum sochna sikhaenge main kahin ja nahin raha lekin aap kya mere sath aaenge koi khidki khulegi raat gae kai apni murad paenge khul ke rone pe ikhtiyar nahin hum koi jashn kya manaenge hansenge teri bad-hawasi par log rasta nahin bataenge tum uthaoge koi ranj mera dost ahbab haz uthaenge hamein apni talash mein mat bhej khadi faslen ujad aaenge