hayat mujh pe ek ilzam hi sahi phir bhi bahut aziz hai mujh ko ye zindagi phir bhi nahin kuchh aur to mumkin thi khud-kushi phir bhi hai koi baat ki jita hai aadmi phir bhi ye tirgi to bas ek gardish-e-zamin tak hai magar ye raat jo hum se na kat saki phir bhi chaman luta hai khud ahl-e-chaman ki sazish se kali kali hai magar mahw-e-khwab si phir bhi kisi ko pa ke bhi akasr guman ye hota hai ki jaise rah gai baqi koi kami phir bhi hamin pe yurish-e-zulmat hamin hain kushta-e-shab hamin hain pesh-raw-e-subh-o-raushni phir bhi lab-e-'kalim' pe ab naghma-e-bahaar to hai ye aur baat ki aankhen hain shabnami phir bhi