dafatan dil mein kisi yaad ne li angdai is kharabe mein ye diwar kahan se aai aaj khulne hi ko tha dard-e-mohabbat ka bharam wo to kahiye ki achanak hi teri yaad aai bas yun hi dil ko tawaqqo si hai tujh se warna jaanta hun ki muqaddar hai mera tanhai nashsha-e-talkhi-e-ayyam utarta hi nahin teri nazron ne gulabi to bahut chhalkai yun to har shakhs akela hai bhari duniya mein phir bhi har dil ke muqaddar mein nahin tanhai dubte chand pe roi hain hazaron aankhen main to roya bhi nahin tum ko hansi kyun aai raat bhar jagte rahte ho bhala kyun 'nasir' tum ne ye daulat-e-bedar kahan se pai