qaid aur qaid bhi tanhai ki sharm rah jae shakebai ki sujhta kya hamein un aankhon se shart thi qalb ki binai ki dar-e-but-khana se badhne hi na pae garche ek umr jabin-sai ki qais ko naqa-e-laila na mila go bahut baadiya-paimai ki hum ne har zarre ko mahmil paya hai ye qismat tere sahrai ki waqf hai us ke liye jaan-e-aziz kabe ke khadim o shaidai ki kaba o quds mein ghar kiya ye bhi ek ada hai mere harjai ki nazar aaya hamein har chiz mein tu us pe ye dhum hai yaktai ki ishq aur jaur-e-sitamgar ka gila had hai ai dil yahi ruswai ki ishq ko hum ne kiya nazr-e-junun umr bhar mein yahi danai ki kar gai zinda-e-jawed hamein tegh-e-qatil ne masihai ki ho na taqlid dila maqtal mein kahin musa se tamannai ki na sahi tegh tajalli hi sahi aankh jhapke na tamashai ki kal ko hai phir wahi zindan 'jauhar' thik kiya aap se saudai ki