dagh baiana husn ka na hua khote damon moamla na hua dil mukaddar raha safa na hua faiz aaina-ruon ka na hua kuchh na kaam aae dagh ki buti qalb tanba raha tila na hua dard-mandan-e-khal kahte hain goliyan khain faeda na hua dil khayalon se paemal raha sabza-e-rah-guzar hara na hua aae fasl-e-chaman ki id aae ghunche chatke ki shadiyana hua har kisi zulf mein raha uljha dam-e-ulfat se dil riha na hua na khatakte kisi ke aankhon mein ye ghubar apna tutiya na hua mere aage wo baithe ghair ke pas pas mera unhen zara na hua dil ne aise uthae ranj-o-tab phir mohabbat ka hausla na hua jab kisi ki nazar pade rukh par khal-e-mushkin siyah dana hua dekhi kaifiyyat-e-bahaar-o-khizan main do-rangi se aashna na hua dil shagufta hua na phulon se koi kanta girah-kusha na hua ghar bana kar yahan ye tang aaya uqda-e-khatir aashiyana hua rashk ka hai maal be-rangi sabza pis kar kabhi hina na hua 'bahr' dil soch kar use dena khud-gharaz aashna hua na hua