saba kahiyo zabani meri tuk us sarw-qamat ko ki jab se dil liya aae na phir sahib-salamat ko mere rone ko sun kar yun laga jhunjhla ke wo kahne miyan ye jaan khana hai utha do is malamat ko jo milna hai to aa jao gale se lag ke so rahiye nahin to kaam kya aaoge ai sahab qayamat ko uthae sau tarah ke zulm aur jaur-o-jafa tere kaha shabash bhi tu ne na meri istaqamat ko hua main khak ai 'asif' na pahuncha is ke daman tak liye jaunga sath apne adam tak is nadamat ko