dagh chehre ka yunhi chhod diya jata hai aaina zid mein magar tod diya jata hai teri shohrat ke pas-e-parda mera nam bhi hai teri laghzish se mujhe jod diya jata hai koi kirdar ada karta hai qimat is ki jab kahani ko naya mod diya jata hai ek tawazun jo bigadta hai kabhi ruh ke sath shisha-e-jism wahin phod diya jata hai