dagh duniya ne diye zakhm zamane se mile hum ko tohfe ye tumhein dost banane se mile hum taraste hi taraste hi taraste hi rahe wo falane se falane se falane se mile khud se mil jate to chahat ka bharam rah jata kya mile aap jo logon ke milane se mile man ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj hum ko duniya mein ye do waqt suhane se mile kabhi likhwane gae khat kabhi padhwane gae hum hasinon se isi hile bahane se mile ek naya zakhm mila ek nai umr mili jab kisi shahr mein kuchh yar purane se mile ek hum hi nahin phirte hain liye qissa-e-gham un ke khamosh labon par bhi fasane se mile kaise manen ki unhen bhul gaya tu ai 'kaif' un ke khat aaj hamein tere sirhane se mile