dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras baad muddat ke hai phir josh-e-bahaar ab ke baras aabiyari se teri ai tegh-e-yar ab ke baras takhta-e-gul hai hamara jism-e-zar ab ke baras ta-ba-daman hai gareban tar tar ab ke baras tutte hain talwon mein chubh chubh ke khar ab ke baras hai ye zor-e-amad-e-fasl-e-bahaar ab ke baras mast hain zahid bhi misl-e-baada-khwar ab ke baras ulfat-e-saqi ne lo zahid ko bhi khincha idhar daur-e-mai ka subha par hoga shumar ab ke baras fasl-e-gul mein baad-e-murdan bhi hua josh-e-junun sang-e-tiflan se ho tarmim-e-mazar ab ke baras shishe mein pinhan hai mai aur dil mein zauq-e-mai-kashi aate hi saqi ke ai abr-e-bahaar ab ke baras saqiya ainak chadhe hon ranj-o-gham baala-e-taq baada-e-di-sala ka shisha utar ab ke baras zulm par bandhi hai phir sayyaad-o-gulchin ne kamar qaid-e-bulbul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras aarzu hai baad-e-murdan bhi rahun sairab-e-mai sarf-e-jam-o-khum karen mera ghubar ab ke baras josh-e-khun-e-bulbul-e-shaida ka paida ho asar le agar fasd-e-rag-e-gul nok-e-khar ab ke baras julte hain dil bulbulon ke aashiyan ki tarah se aatish-e-gul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras qismat apni apni hai achchha mubarak ho 'habib' khar-e-gham hum ko tumhein pahlu-e-yar ab ke baras