ghair-mumkin bhi hai mumkin mujhe malum na tha ek din aaega ye din mujhe malum na tha aur kuchh main tere zahir se samajhta tha tujhe aur kuchh hai tera baatin mujhe malum na tha apne daman-e-tasannoa mein chhupa sakte hain un maaib ko mahasin mujhe malum na tha dushmani ke liye makhsus hai jo tarz-e-amal dosti mein hai wo mumkin mujhe malum na tha aah ho sakti hai bedad pe mail wo nazar ho jo altaf ki zamin mujhe malum na tha umr-bhar sabr na aaega mujhe jis ke baghair chain paega wo mujh bin mujhe malum na tha bahama garmi-e-dil nabz-e-mohabbat ek din ho ke rah jaegi sakin mujhe malum na tha aah is umr-e-mohabbat mein kabhi ai 'bismil' ek din aaega ye din mujhe malum na tha