dagh-e-sina markaz-e-tanwir hai dil ka chhaala chand ki taswir hai zindagi kiya hai koi samjhae to khwab hai ya khwab ki tabir hai chain se zindan mein baithe ab junun panw mein chakkar nahin zanjir hai phunk dengi nafraten ghar aap ka nam darwaze pe kyun tahrir hai ghar ka ek naqsha bana leti hai roz ye jo dil mein hasrat-e-tamir hai hum aman pate the jis ke sae mein wo shajar ab dhup ki taswir hai kis ke wade par karen hum e'tibar kis ke mathe pe wafa tahrir hai