parae dasht mein ninden luta ke aai hun par us ki aankh mein sapne saja ke aai hun main kuza-gar to nahin thi magar haqiqat hai main us ki marzi ka us ko bana ke aai hun jise bhi jaana ho jae charagh jalta hua bada kathin tha agarche bujha ke aai hun palat to aai hun lekin khamosh dariya ko sulagti pyas ka qissa suna ke aai hun wo intizar karega mujhe yaqin hai magar main ab kabhi na milungi bata ke aai hun huzur-e-ishq batao mujhe kahan jaun tumhein khabar hai main naw jala ke aai hun wo tere wade wo baaten wafa khulus 'farah' main khaare pani mein sab kuchh baha ke aai hun