dagh jo ab tak ayan hain wo bata kaise miten fasle jo darmiyan hain wo bata kaise miten ek muddat se dilon mein dard ki hain bastiyan dard ki jo bastiyan hain wo bata kaise miten raat bhar soya nahin main bas isi ek fikr mein an-suni kuchh siskiyan hain wo bata kaise miten kis tarah rishton mein aai talkhiyan ye phir kaji be-sabab jo talkhiyan hain wo bata kaise miten shama kal jalti rahi hai der tak is soch mein kuchh andhere be-zaban hain wo bata kaise miten jo purane the gunah wo dho diye tu ne magar khun ke taza nishan hain wo bata kaise miten main ghamon ke baadalon ki baat ab karta nahin khauf ke jo aasman hain wo bata kaise miten