kaun aaega jo tu be-sar-o-saman hoga

kaun aaega jo tu be-sar-o-saman hoga
warna hoga tu na andesha-e-darban hoga

qatl ke baad bhi ek aish ka saman hoga
mai-e-gul-rang lahu zakhm namak-dan hoga

bankpan bas ki hai manzur mere qatil ko
gul-e-dastar bhi ab ghuncha-e-paikan hoga

ek nazar dekh sakega na teri chashm-e-siyah
sabza-e-khat bhi charagah-e-ghazalan hoga

tu wahan bhi jo na ho yar to phir hai andher
roz-e-mahshar pe guman-e-shab-e-hijran hoga

dilbaro dil ke na le jaane mein israr karo
tum ko kya faeda hoga mera nuqsan hoga

jate hain sabr o qarar o khirad o hosh o hawas
jaras-e-qafila apna dil-e-nalan hoga

mere isa se mere dard ka darman hoga
sharbat-e-wasl ilaj-e-tap-e-hijran hoga

waiz hum ko tu na hangama-e-mahshar se dara
apne nazdik wo ek majma-e-yaran hoga

aaina dida-e-hairan tujhe dikhlaega
shana-e-zulf mera haal-e-pareshan hoga

dil-e-be-ishq se kaunain mein tu hoga kharab
barhaman dair mein kabe mein musalman hoga

gar ye hain dast-e-junun aur wo hain khar-e-junun
na to daman hi rahega na gareban hoga

shakh-e-gul hai qalam-e-fikr to ashaar hain gul
'arsh' diwan mera rashk-e-gulistan hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close