dahakti khwahishon mein jal raha hun kabhi qatil kabhi maqtal raha hun mera pichha na kar ai zindagani main rah-e-raftagan pe chal raha hun main aisa azhdaha hun khwahishon ka khud apna khun pi kar pal raha hun raha hun waqif-e-raaz-e-haqiqat ba-zahir be-khabar pagal raha hun rida-e-tishnagi odhe hue main samundar ke kinare chal raha hun gawahi ke liye kafi rahega main apna khun munh pe mal raha hun koi bhula hua naghma hun dil ka wafa ke aansuon mein dhal raha hun