dahan-e-mehman mein kante pahlu-e-mezban mein kante khun thukega jo bhi khaega aap ke khas-dan mein kante khub-ruon ka kya bharosa hai aan mein phul aan mein kante gul-e-rukhsar ki hifazat ko us ne latkae kan mein kante chubh rahe hain mere khayalon ko bagh-e-jannat-nishan mein kante muskuraati khamoshiyan us ki mere tarz-e-bayan mein kante hasraten aur ijz-goyai dil mein kante zaban mein kante ret mein rul ke chal gae jauhar jauhari ki dukan mein kante rakshas ban gae maha-jogi gyan mein aur dhyan mein kante kabhi hoti thi ediyon mein khalish ab to hain jism-o-jaan mein kante kitna mushkil hua hai rizq-e-halal shorbe aur nan mein kante chunne wala koi nahin 'sayyad' aur bhare hain jahan mein kante