dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista guzar dariya se ai abr-e-rawan aahista aahista lahu to ishq ke aaghaz hi mein jalne lagta hai magar honton tak aata hai dhuan aahista aahista palatna bhi agar chahen palat kar ja nahin sakte kahan se chal ke hum aae kahan aahista aahista kahin lali bhari thaali na gir jae samundar mein chala hai sham ka suraj kahan aahista aahista abhi is dhup ki chhatri tale kuchh phul khilne do zamin badlegi apna aasman aahista aahista kise ab tut ke rone ki fursat kar-e-duniya mein chali jati hai ek rasm-e-fughan aahista aahista mere dil mein kisi hasrat ke pas-andaz hone tak nimat hi jaega kar-e-jahan aahista aahista makin jab nind ke sae mein sustane lagen 'tabish' safar karte hain basti ke makan aahista aahista