koi baqi mere dil mein kahin arman hoga kya udasi ke siwa mera koi paridhan hoga kya tumhaari manzilen hain tum ne khud mushkil badhai hai kisi ke sath chalne se safar aasan hoga kya na chidiyon ki koi aahat na jhonke hi hawa ke hain bahut lagta hai dar mujh ko nagar viran hoga kya kai arman mujh mein tod kar dam ji rahe honge mujhe khud dafn hona hai kahin shamshan hoga kya ghamon mein muskurae hain ghazal hi gungunae hain hamara mahfilon mein bhi kabhi samman hoga kya