dahliz par meri koi aaya hai barson baad halchal si dil mein koi to laya hai barson baad arman dil mein mere nae jagne lage aangan ko chandni ne sajaya hai barson baad aankhon mein meri khwab hain taza saje hue tabir-e-khwab le ke wo aaya hai barson baad palkon pe meri jalne lage dip kuchh nae mere labon ne git ye gaya hai barson baad phir shakh-e-dil pe gul nae ummid ke khile mausam bahaar-e-taza ka aaya hai barson baad tanhai meri bant li hai us ne pyar se nam aaj le ke us ne bulaya hai barson baad us ne bhi tut kar hamein chaha bahut 'dua' hum ne bhi qurb us ka yun paya hai barson baad