azab ye bhi kisi aur par nahin aaya ki ek umr chale aur ghar nahin aaya us ek khwab ki hasrat mein jal bujhin aankhen wo ek khwab ki ab tak nazar nahin aaya karen to kis se karen na-rasaiyon ka gila safar tamam hua ham-safar nahin aaya dilon ki baat badan ki zaban se kah dete ye chahte the magar dil idhar nahin aaya ajib hi tha mere daur-e-gumrahi ka rafiq bichhad gaya to kabhi laut kar nahin aaya harim-e-lafz-o-maani se nisbaten bhi rahin magar saliqa-e-arz-e-hunar nahin aaya