dahr bhi 'mir' turfa-e-maqtal hai jo hai so koi dam ko faisal hai kasrat-e-gham se dil laga rukne hazrat-e-dil mein aaj danggal hai roz kahte hain chalne ko khuban lekin ab tak to roz-e-awwal hai chhod mat naqd waqt-e-nasiya par aaj jo kuchh hai so kahan kal hai band ho tujh se ye khula na kabhu dil hai ya khana-e-muqaffal hai sina-chaaki bhi kaam rakhti hai yahi kar jab talak moattal hai ab ke hathon mein shauq ke tere daman-e-baadiya ka aanchal hai tak gareban mein sar ko dal ke dekh dil bhi kya laq-o-daq jangal hai hijr bais hai bad-gumani ka ghairat-e-ishq hai to kab kal hai mar gaya kohkan isi gham mein aankh ojhal pahad ojhal hai